Blog Kya Hai in Hindi -What is Blog -Blogging Kya Hai - hINDITECHMARG

Blog Kya Hai in Hindi

Blog Kya Hai in Hindi: Hello namaskar dosto Kaise hai aap sab? Dosto Aaj hum Janenge Ki “Blog Kya Hai ”, Blog Kaun Create Kar Sakte Hai, Blog Karne Ke Kya Fayde Hai, Kya Nuksan Hai. Blog Ko Kis Platform Par Banana Thik Rahega. Blogging Kab Shuru Karein, blogging kya Hota hai, blogger kya hota hai, Blogspot kya hai, Blogging Time Management, Jo Blogger Banne Ke Utshuk Hai Unke Liye hINDITECHMARG Ki Taraf Se Kuch Tips.

Blog Kya hai :

Jo Log Internet Ka Use Karte Hain Unhe Pata Hoga Ki Jab Ham Google ya Bing Par Kuch Search Karte Hain, To Hamare Samne Kai Result Show Hote Hain. Aur Ham Un Result Me Se Kisi Ek Par click Karte hain. Hum click Karne ke baad  jis website  Par Jate Hai wo hi Blog Hota Hai. As an example Jaise Aapne Google Me Search Kiya ‘Blog Kya Hai’. Aur Jab Aapke Samne Result Show Honge Unme Kisi Ek Par Click Karne Se Aap Kisi Blog Par Pahuch Jate Hai.

For example Aap Jo Abhi Read Kar Rahe Hai Vo Bhi Ek Blog Hai. To chaliye dosto detail me jante hain ki “Blog Kya Hai”.

ब्लॉगिंग क्या है in hindi ?

Blog Kisi Person Ya Company Ki Ek Preculler Website Hoti Hai. Jispar Vo Kisi Topic Par Jankari Share Karte Hai.  Jaise Mai Apne hINDITECHMARG Blog Par Computer, Internet, Mobile Tips &Tricks, Technology Aur Blogging Se Related Jankari Share Karta Hu.

Blog Ka Matlab Ek Place Jaha Par Aap Apne Knowledge Ke According Kuch Information Share Kar Paye. Aapne Bahut Si Website Dekhi Hogi Jis Par Koi News Aane Se Pahle Blog Par Notification Aa Jata Hai.

Blogging Kya Hai?

Saral sabd Me Kahu To Blog Par Kaam Karna Mean Ek Book Ka Page Write Karna. Aap Blogger ya WordPress me Blog Bana sakte hain. Blog Banane Ke Bad Us Par Daily kaam  Karna (Post Likhna) Hota Hai. ( Ye Aap Par Depend Karta Hai Ki Daily, Weekly Ya Monthly ) But mere hisab se, apko daily kaam Karna chahiye.

Blog Kaun Create Kar Sakte Hai ?

Jiske Pas Gmail Account Ho Ek Free Blog Create Kar Sakta Hai. Aur Jiske Pas Hosting, Domain Name Ho Vo Ek Paid Blog ( hINDITECHMARG ) Create Kar Sakta Hai. Free Blog Koi Bhi Bana Sakta Hai Agar Uske Pas Ek Gmail Account Ho. Agar Aapke Pas Gmail Account Hai To Aap Bhi Ek Blog Create Kar Sakte Ho Par Usse Pahle Puri Post  Jarur Read Kare.

Blog Banane Ke Fayde :

  • Ghar Baithe Paise Kamana:  Blog Ke Madhayam Se Ham Ghar Baithe Online Paise Kama Sakte Hai.  Anyone ( Housewife, Student, etc. ) Ek Laptop, Mobile Ya Pc Ki Help Se Ek Blog Par kaam Karke Paise Kama Sakta Hai.
  • Internet Ki Duniya Me Naam Kamana : Blog Banakar Hum Logo Ki Help Karte Hai/Kar Sakte Hai. Jisse Log Hamare Blog Visit Kar Kuch Sikhte Hai. Agar Hamara Blog Proffesonal Blog Hai To Ham Internet Ki Duniya Me Name Kama Sakte Hai.
  • Time Ka Upyog : Kai Bar Hamare Sath Aisa Hota Hai Ki Time Hai But Koi kaam Nahi Hai. Is Time Ko aap blgging websites banane ke liye upyog kar sakte hain. 
  • Apni Bhavanao, Bato Ko logo Tak Pahuchana:  Kai Log Aise Hote Hai Jo Logo Ko Kuch Batana, Sikhana Ya Bat Karna Chahte Hai But Unke Pas Ye Karne Ka Koi Jariya Nahi Hai. Aise Logo Ke Liye Blogging Kafi Helpful Hai.
  • Daily Kuch Naya Sikhna  : Blogging Ki Duniya Kafi Badi Hai Is Par World Ke Log Work Karte Hai. Ham Yaha Par Sikhane Ke Sath Sath Sikh Bhi Sakte Hai.

 Blog Banane Ka Nuksan

As per my experience, Blog Banane Ka Koi Nuksan Nahi Hai.  Na Hi Paiso Ki Barbadi Hai Because Agar Aap Invest Nahi Karna Chahate To Blogger Par Free Blog Bana Sakte Hai.

Blogging Platforms/Blogging Websites :

Kya apko pata hai Blogger kya hai ? Agar Aapko Blog Ke Bare Me Koi Experince Nahi Hai To Aap  Blogger Choose Kar Sakte Hai.  Aur Agar Aapko Kafi Experience Hai aur Aap Pahele Kai Blog Par kaam Kar Chuke Hai To WordPress use kar sakte hain.

Blogging in Blogger
Blogger
Blogging in WordPress

Blogspot Kya Hai:

Blogspot free domain service pradaan karta hai. Ye Google ka hai or Blogger platform par upyog hota hai.

Tips

Blog Ko Behatrin Banane Ke Liye Kuch necessary tips.

  • Jis Topic Ke Bare Me Aapko Jyada Experince Hai Us Topic Par Post Likhe.  Agar Aap Bina Jane Samjhe Kisi Topic Ko Pakad Lenge To Ye Long Time Nahi Chal Sakte.
  • Blogging Ke Liye Koi Fix Time ( Like – Morning me ) Choose Kare Aur Regular Post Kare.
  • Freshers  Apne Content par Jyada Focus Kare. 1000-1500 High Quality Words ka upyog karke article Likhne Ka Pryas Kare.
  • Ekdam New Blogger Free Blog Banaye to Achha Rahega.
  • Aapka Target Blog Se Paise Kamane Ka Nahi Apitu Help Karne Ka Hona Chahiye Aur Ye Success Blogger Ki Nishani Hoti Hai.
  • Blog Banane Se Pahele Kisi Bade Blogger Se ( Old Blogger ) Se Salah Jarur Le Taki future Me Koi Dikkat Na Aaye.

Toh Dosto apne jana ki blog kya hai aur Mujhe Aasha Hai Aapko Ye Post Acchi Lagi Hogi.Abhi bhi aapke mann me koi sawal hai toh comments me jarur bataye hum aapki sahayta jarur karenge.Agar apko ye post “ Blog kya hai “ achha laga hai to, Apse ye anurodh hai ki iss post ko jyada se jyada share kijiye.

FAQs

What are free blogging sites ?

Blogger. Its free and owned be Google.

Can i blogging on WordPress ?

Yes. You can.

What is blogging niche ?

Niche means the Topic of your website blog .

1 thought on “Blog Kya Hai in Hindi”

  1. Pingback: जानें Blog क्या है और सीखे Blogging Kaise karte hain - hINDITECHMARG

Leave a Comment

Your email address will not be published.

error: Content is protected !!