Blogger Me Custom Domain Name Connect Kare - hINDITECHMARG

ब्लॉगर में कस्टम डोमेन नेम कैसे कनेक्ट करे ?

Hello namaskar dosto kaise hai aap sab? Dosto aaj hum baat karenge Blogger Me Custom Domain Name Kaise Connect Kare ke bare me. Humne pichle post me Free Blog Website Kaise Banaye bataya tha aasha karte hai aapko pasand aayi hogi. Jaisa ki hum jante hai jab bhi hum blogger par naya blog banate hai. Toh hume blogger jariye free subdomain aur hosting milta hai jisse hum apna free blog bana paate hai.

Blogger me Custom domain kaise connect kare

Blogger Me Custom Domain Name Kaise Add Kare?

Aamataur par naye bloggers he blogger platform ka istemaal karte hai Blogging sikhne ke liye. Joki naye bloggers ke liye bahut badhiya hota hai.Lekin jab hum blogger platform par apna blog website banate hai. Toh humare blog ke end me Blogspot.com hota hai yani samajh lijiye mere blog ka naam hINDITECHMARG hai toh uske url address me kuch aaisa hoga. www.hinditechmarg.Blogspot.com joki bahut lamba naam hai

Jiske karan aapke blog par koi visitor aata hai toh aapke blog ka naam padhne me samaye lagta hai aur bahut lengthy naam lagta hai.

Jisse logo ko blog ka naam bhi yaad nahi rahta aur iske karan aapke blog par traffic bhi loose hote hai.

Agar aapko bhi blogger ka subdomain acha nahi lagta hai aur aap apna domain name blogger me add karna chahate hai, Toh sabse pahele aapko ek professional domain name kharidna hoga. Aapko bahut sari sites mil jayegi jo bahut cheap price me .com domain namemil jayega.

Domain Name kharidne ke baad aapke maan me sawal hoga ki Blogger Me Domain Name Kaise Connect Karte Hai?

Blogger Me Custom Domain(Godaddy) Name Kaise Add Kare ?
Blogger me domain name add karna bahut easy hai. Agar aap naye bloggers hai aur aapko iske bare me jaankari nahi hai.

Toh aap tension mat lijiye kyu ki aaj hum iss post me janege ki Blog me domain name kaise connect karte hai ke bare me.

Aapko simply niche diye gaye steps ko follow karke aasani se blog me domain setup kar lenge.

Step 1

Blogger me domain name setup karne ke liye sabse pahele aapko domain name provider ke website par jana hai. Agar aapne domain name Godaddy se kharida hai toh iss site par jaye aur Login kare.

Step 2

Login karne ke baad DNS option par click kare aur fir Blogger ke official website par jaye aur apne email id se login kare

Step 3

Ab aapko Settings par click karna hai aur apne domain ka naam likh kar save karna hai. Save karne par aapko error show hoga aapko simply Godaddy Site par jana hai aur Add par click karna hai
cName record option Select kare Host Wale Option me www dale aur point wale option me ghs.google.com aapko same ek aur baar yahi process karna hai, lekin uske niche wala error code cName option me dale

Step 4

cName dalne ke baad aapko A record banana hai. Jisme aapko Host me @ dalna hai aur Point me
216.239.32.21
216.239.34.21
216.239.36.21
216.239.38.21
Yaha 4 baar same process karna hoga A Record Host @ Point upar diya gaya hai.

आसा करते हैं ये आर्टिकल “Blogger Me Custom Domain Name Kaise Connect Kare” आपको पसंद आया होगा. हम यहाँ पे ऐसी जानकारी देते रहेंगे.

यदि ये आर्टिकल आपको पसंद आया तो कृपा करके इससे शेयर कीजिये और हमे प्रोत्साहित कीजिये.

Leave a Comment

Your email address will not be published.

error: Content is protected !!