Blogger Par Website Blog Kaise Banaye - hINDITECHMARG

ब्लॉगर पर फ्री वेबसाइट ब्लॉग कैसे बनाये ?

Blogger Par Blog BanayeHello, namaskar dosto kaise hai aap sab? Dosto aaj hum baat karenge Blogger Par Website Blog Kaise Banaye ke bare me. Jaisa ki hum jante hai website banane ke liye hume website developer se contact karna hota hai. Jab hum web developer se contact karte hai toh hume use website banane ka extra charge bhi dena padhta hai. Joki humare daily budgets se jyada hota hai

Agar aap free me apna koi website blog banana chahate hai, Toh aapko Blogger platform choose karna chahiye. Jisse aap aasani se free blog bana sakte hai woh bhi bina hosting aur domain kharide. Ab aapke man me sawal aaraha honga ki bina hosting aur domain ke kaise blog banta hai?

Toh main aapko bata du Blogger bhi ek google ka he product hai jisse hum log free me blog website subdomain se bana sakte hai.

Agar aapko programming languages nahi aata hai to bhi aap aasani se blogger par apna blog bana sakte hai without any charges. Ab chaliye dosto Mobile Se Blog Kaise Banaye ke bare me jante hai.

Website Blog Kya Hai ?

Website matlab ek company hai jo sirif ek he topic par kaam karti hai jaise Google jo ki duniya ki sabse badi search engine website hai. Iska kaam bas puri duniya me har logo tak sahi jaankari pauchni hai

Jabki blog ek aaisa website hota hai jispar multiple topics par post publish kiya jata hai. Aur example ke liye humare blog man sakte ho.

Free Website Blog Kaise Banaye ?

Agar aap free me blog website banana chahte hai aur aapko iske bare me jaankari nahi hai to aapko simply niche diye gaye steps ko ache se follow karna hai aur aap aasani free blog website bana sakte hai :

  • Blog Website banane ke liye Sabse pahele aapko Blogger ke official website par jana hai aur email id se login karna hai.
  • Email Id se login karne par aapko apna display naam dalna hai aur continue par click karna hai. Ab aapke samne new window open hoga jisme aapko Create New Blog par click karna hai.
  • Create New Blog click karne par aapke samne ek pop-up window open hoga. Jisme aapko apne blog ka Blog Title, Blog Theme aur Blog address dalna hai.
  • Ab aapko simply Create Blog par click karna hai. Aapke blog website par 70% kaam ho chuka hai.
  • Blog Create karne par aapke samne blogger ka home dashboard open hojaiga jaha se aap apne blog ko control kar sakte hai.
  • Ab aapka blog bankar taiyar ho chuka hai aap apne blog par daily post publish kar sakte hai.
  • Abhi aap apna knowledge dusro ke sath share kar sakte hai aur jab aapke paas paisa aajaye tab aap ek acha domain name kharid kar apne blog se connect kar sakte hain.

Yaha se aap apne blog ka domain name change kar sakte hai..

Blog Se Paise Kaise Kamaye ?

Ab aapke man me bahut si baate aarahi hongi. Blog toh start kar liye ab blog se kya kiya ja sakta hai? Blog me post publish karne se mera kya benifit hoga?

Aap apne blog me post publish kar ke bahut acha income bhi kar sakte hai. Yani agar aap apne blog se post publish kar ke paisa kamana chahate hai. Toh aapko sabse pahele google adsense se approval lena hoga apne blog ke liye

Uske baad aapko adsense ke ads apne blog par placement karna hoga. Adsense ads placement karne ke baad jab aapke visitors aapke site par visit karenge aur unh ads par click karte hai.
Toh aapko adsense ke through paisa milta hai aur jab aapka adsense account me100$ complete hojata hai tab apne bank account me le sakte hai. Blog se paise kaise kamaye ke bare me janane ke liye yaha

आसा करते हैं ये आर्टिकल “Blogger Par Website Blog Kaise Banaye” आपको पसंद आया होगा. हम यहाँ पे ऐसी जानकारी देते रहेंगे। यदि ये आर्टिकल आपको पसंद आया तो कृपा करके इससे शेयर कीजिये और हमे प्रोत्साहित कीजिये.

Leave a Comment

Your email address will not be published.

error: Content is protected !!